Social media ek accha aur fast tarika hai jisasae hum hamare website ki traffic badha sakate hai. Jaise ki Facebook, Google Plus, Twitter etc. Waise to Social Site me blog ki promotion karne ke liye bohot se tarike hai, but aaj hum Google Plus Se Blog Ki Traiffic Kaise Badhaye ye samjh lete hai. Badme mai aapko Facebook aur Twitter ke tips bataunga.
Bahut sare hamare Blogger dost he jo Google Plus se visitors laane me asafal rehte hai.
- Mat socho ki Google Plus ek kamjor platform hai, aur Google Plus bohot kam log use karte hai. Agar me kahu to Google Plus ek badhiya rasta hai jaha pe saare Android users, Gmail users aur actual Google Plus ke users connected hote hai.
- Agar aap koi post share karte ho, to uska notification sidha Google user ko jaata hai. Android mobile me Google Plus ek necessary aur Built in App ho gaya hai.
Jo Log Social media se traffic badhane ke liye thik nahi samajte wo blogger ek acha mouka gava dete hai. Hame is social media site se hamare website par bahut jyada traffic bada sakate hai. Uske liye kuch faadu tarike hai. Jante hai kam samay me jada traffic kaise khicche.
Blog Title
Blog post ka title sabase pehale aana chahiye. Blog ke Title me kuch aise words likhiye ki visitors attract ho jaaye. Aap numbers ka istemaal kar sakte hai. Example – 10 Killer Tips.
Blog Description
Blog post title ke niche ek line chod ke post ke bareme 1 -2 line ki description likho taki visitors ko acche se samaj me aana chahiye ki us post me kya likha hai.
Blog URL Link
Uske bad blog post ka URL add kare. Dhyan me rakhe ki Blog ki link pehle na de. Pehle likha hua blog description me agar visitor ko interest aaya to wo jaroor link par click karega. So main focus hume rakhna chahiye ki description aur title accha likhe.
Sirf blog post ki link na share kare. Uske sath us post ke related ek image bhi add kare taki visitors ko pata chale ye post kisse related hai. Image attractive aur white background wali honi chahiye. Jada se jada animated image ka istemaal kare.
Attractive Post Writing
Jab hum post likhte hai to likhte samay post me kuch ese words use kare jisse hum visitors ko attract kar sake. Jaise ki post me Heading tag, Bold, Italic, Underlines aise format use karane chahiye jisese hmara post highlight hoga to usese visitor jada smay tak web site par rahenge. Aur bounce rate kam hone me madat hogi. Hamare post likhana ka tarika aisa ho ki hamare site par ek baar aaya hua visitor site ko bookmark kar le. February 2016 me hamari website ko 10,00,000 se bhi jada visitors rahe he.
Targeted Audience
Jab hum blog se post share karte hai tab ham ye nahi sochate ki kisko hame ye post target karana chahiye. Post ko sidha publish karke share kar dete hai.
Hamare Bloggers Circle se hame kisko ye post share karana hai ye hame pata hona chahiye. Example – Blogger waale visitors wordpress ke articles par jada dhyaan nahi denge. WordPress waale visitors blogspot waali jankari nahi padhenge. So hume us audience ke group ko target karke post share karana chaihiye. Google plus me hum Circles bana sakte hai. Hame ek alag se circle bana lena chahiye or jab ham post share karte hai tab us hisab se hame us circle ko target karana chahiye. Sabke pass aapki post ka notification pohach jayega.
Sending Email Notifications
Jab hum post share karane ke time kisi frend ya circle ko target karate hai to niche ek ” Also share from you to your circle” ka option show hoga. Us link par click karke share kare de. Jab ham ye post share karenge to circle me ad sabi logo ke pass ye email send hoga.
Abhitak humne to Google Plus par site ka promotion nahi kiya hai, par fie bhi hamari acchi income is blog se ho jaati hai.
Mujhe umeed hai apko ye article accha laga hoga. Apne dosto ke sath aisi jankariya jarur share kare jo blogging me interest rakhte hai. Ye post ko un tak Jarur pahunchaye.