Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool


Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool. Aaj ka zamana vigyapan ka zamana hai. Aap koi bhi business kar len, ya koi bhi shop khol len jab tak uska vigyapan nahin karenge tab tak apka business acchi tarah se nahin chalega. Isliye advertisement karna bahut zaroori hai. Iskay saath hi advertisement aisa hona chaahiye jo kam se kam paison mein adhik se adhik logon ke beech pahunche. Inhi baaton ko dhyan mein rakhkar google ne google adwords naam ka naya feature launch kiya hai. Jisme koi bhi vyakti apna ad dal sakta hai aur woh bhi bahut kam paise dekar. Aaiye jaane google adword ke baare mein. Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool.

Kya hai Google adword?

Google adword ek google ka online advertising program hai jiska istemal koi bhi vyakti apne karya ya vyapar ka vigyapan karne mein kar sakta hai aur iski sahayta se us vyakti ko apne vyapar ke liye naye-naye grahak milte hai. Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool.

Kaise karya karta hai Google Adword?

Google mein lakhon log kuch na kuch search karte hain. Jab koi vyakti aapke kisi keyword ka upyog kar google par search karta hai to google dwara aapka vigyapan google adwords mein hone par usay search karte vyakti ke samne dikhaya jaata hai. Example ke taur par yadi aap koi dance sikhane ki classes New Delhi ke Vasant Vihar ilake mein chalate hain to jab koi vyakti dance classes ko search karega to apka vigyapan Google adword mein hone par usay dikhayi dega aur is prakar who aapse contact karega aur apka business badhta hi jaayega. Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool.

Kaise den Google adwords mein vigyapan?

Sabse pehle  https://adwords.google.com website par jayen.
Ab isme sign in karen. Aisa karne ke liye apki gmail mein email id pehle se bani honi chahiye. For example abc@gmail.com.
Sign in karne ke baad ek page open hoga jisme Google aapse apki website ke bare mein poochega. Isme apni website likhen jo pehle se bani honi chahiye. For example www.def.com
Iskay baad Google next page par le jayega aur usmay aap se pooch jayega ki apka per day ka budget kitna hai. Yani aap apne advertisement ke liye per day kitna kharch karenege. Us amount ko aap is box mein bhar dijiye. Yeh amount apko tabhi dena hoga jab koi apke advertisement par click karega.
Iskay baad  Google next page mein le jaat hai jisme keyword option hota hai. Ismay apko keywords bharne honge. Jaise aap dancing class chalate hain to jo dance sikhate hain unke naam likh sakte hain jaise disco, jazz, salsa aadi.
Iskay baad ek box aayega usmay apko apne ad ke baare mein likhna hoga. Is box ko text ad box kahenge. Ismein aap apni website ka naam, apni firm ka naam aadi likh sakte hain jisse ki apko aasani se search kiya ja sake. Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool.
Iskay baad aap save and continue option par click karen. Google apko naye page par le jaayega. Ismay apko apne business ka TAN number, Apna business/firm name, apna name, apka business address den. Iskay saath hi apko apna primary contact number, phone number bhi dena hoga. Iskay saath hi Google aapse payment ka tarika poochega. Jab apke customers banane lagenge aur apke advertisement par click hone lagega tab aap kis tarha payment karenge. Iskay baad apko apna credit card number, credit card ki validity date, uska CVC number aur credit card par apka kya naam hai likhna hoga.
Iskay baad aap save and continue par jab click karenge to aapka ad google adword par tayyar ho jayega.

Google adword ke kya hain fayade?

Google adword mein advertisement dene ka yeh fayada hai ki jab log kisi cheez ki shop ke baare mein search karenge aur aapki shop ussay hi related hai to apka naam unkay saamne pehle display hota hai. Ismay aap yeh bhi select kar sakte hain ki apka ad kin sharon ke logon dwara search karne par highlight ho. Iskay saath hi apko apne ad ka tabhi paisa dena hai ja koi vyakti apke ad mein ruchi dikhaye aur us par click kare. Isliye Google adword mein ad dene se apke paise ki bhi bachta hoti hai. (Google Adwords Kya Hai Keyword Planner Tool).
(Adwords, google adword, keywords tool, google ad, google keyword tool. adwords google, google adwords keyword tool, adwords keyword tool, pay per click. keyword tools, adwords account, adwords tool, adwords campaign. adwords support, keyword search tool, keyword suggestion tool).
To aaj hi Google adwords mein apna vigyapn dijiye aur apne vyapar mein nayi unchaiyon par pahunchiye.

Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »