AdSense Ka CPC Kaise Badhaye – CPC Adsense Ki Jankari Hindi Me


AdSense Ka CPC Kaise Badhaye – CPC Adsense Ki Jankari. India me AdSense Ka CPC bohot kam rehta he. Bohot se log pareshan ho jaate he ki CPC ko badhane ke liye kya kare, kya na kare. Par Success nahi milti. Aaj hum batayenge ki AdSense ko sahi tarike se kaise set kare. Google AdSense ke jo advertizers hote he, wo hamari AdSense ki ads ki settings dekh kar hi Ad Unit par bid lagate he. AdSense Ka CPC Kaise Badhaye – CPC Adsense Ki Jankari Hindi Me.

Aapke account ka CPC kam kyu he ?

Pehle janenge ki India me AdSense  ka CPC itna kam kyu he. Sabse pehli baat ye he ki India me log abhi tak itna online chijo par vishwas nahi karte. Online shopping iska example he. India me Online Shopping bohot kam hota he as compared to USA or Canada. So Jo bhi Advertizers hote he wo to sirf display content me jada vishwas rakhte he. Kyu ki unko pata hota he ki agar ad par click bhi karega ad par, tab bhi wo purchase nahi karega. Sirf prices compare kar ke dusri website se purchase karta he. (AdSense Ka CPC Kaise Badhaye – CPC Adsense Ki Jankari.)

Tip # 1

Badhte he tips ki aur.  Aapke blog Niche – Niche matlab aapke blog ka topic. Jab bhi blogging start kare, tab aapko aapke blog ke liye uchit niche chunana he. Starting me chuna hua sahi topic he aapke blog ka CPC decide karta he. So jab bhi aap post write karenge tab hi decide kar le ki kya keyword ke liye is post ko target karna he. Tin se Char aise keywords choose kare aur post me unhe 5 se 6 bar repeat kare. So jab bhi Google apni website crawl karta he tab in keywords ke mutabik ads show karta he. Blog ka topic aap inmese koi ek chun sakte he. Ye sabse highest paying niche he AdSense me.
Domains, Internet, Technology, Banking, Fashion, Health.

Tip # 2

Main thing yaha ye he ki, Google ke liye mat likhiye. Jo bhi likhna he Visitor ya Reader ke liye likhiye. Ultimately Google ke pass automatic detection tools rehte he, jo apni website scan karte he. Website par ek vistitor kitne vakt tak rehta he, ek session me kitne pages visit karta he aisi chijo par wo apni website ki PR decide karti he. Aur jab apne blog ki PR badhti he tab AdSense Advertiser automatically apna CPC badhate he. KaiseKare.in ko daily average CPC $0.35 tak rehta he. Aapka CPC kitna he ? niche comment me likhiye. (AdSense Ka CPC Kaise Badhaye – CPC Adsense Ki Jankari.)

Tips # 3

Kai bar apne AdSense me aise advertisers bid set kar dete jo ki bohot kam CPC dete he. So waise advertizers ko hume apne accounts se nikalna he. Jo advertisers $0.07 ya$ 0.08 se kam CPC dete un advertisers ko block karna chahiye. Par jada advertisers bhi block na kare, nahi to ads hi dikhne band ho jayenge. AdSense me ad review center hota he, waha hum Ad block kar sakte he, ya fir pura  Ad Network Block kar sakte he. Chiniye aise ads jo kam CPC dete he aur unhe block kar de.
Is part me hamne 3 tips jaani he, agle part me hum janenge agle tips aur AdSense account ki kuch behtarin settings. Aapka CPC kya he ? niche comments me bataye.
Mujhe umeed hai apko ye article accha laga hoga. Apne dosto ke sath aisi jankariya jarur share kare jo blogging me interest rakhte hai. Ye post ko un tak Jarur pahunchaye.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »