Aavashyak vastuein
Computer par whatsapp istemaal karne ke liye aapke computer mein internet connection hona aavashyak hain. Aapke mobile mein whatsapp hona chahiye. Iss mobile app ke dwara hi aap computer mein apne whatsapp account mein login kar sakte hain. Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye.
Step 1
Sabse pahle aap apne LAPTOP/PC mein Google chrome kholkar web.whatsapp.com kholein. Ab aapke saamne ek code bana aayega. Iss code ko QR code kehte hain.
Step 2
Apne mobile mein whatsapp kholein. Upar teen bindu banein hain, uss menu mein jaayen. Menu mein se whatsapp web chunein. Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye.
Step 3
Ab aapka mobile ka camera khul jaayega. Yeh camera ek scanner ki tarah kaam karta hain jo ki code ko scan karne ka kaam karta hain. Apne camera ko computer par bane code ki taraf karein, aapka code camera screen ke andar aana chahiye.
Step 4
Scan karte hi aapke computer par whatsapp web chal jaayega
Copy ya Paste kaise karen
Jo log whatsapp ka istemaal PC par karte hain unhe aksar copy paste karne mein pareshaani aati hain kyunki whatsapp mein copy paste karne ka tarika alag hain. Pehle kisi bhi shabd ko mouse se click karke chunein. Phir chitra ke anusaar upar diye gayen options par click karen. Isse aapka shabd copy ho jaayega. Iske baad kisi bhi chat box mein jaakar mouse se click karke mouse ko khinchte khinchte hi aapke saamne paste ka option aa jaayega. Paste par click karen. Isse copy hua shabd yahaan aa jaayega.
Software se whatsapp ka istemaal karna
Bluestacks ek aisa software hain jisse hum apne PC mein daal kar android mobile ke software ka upyog kar sakte hain. Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye.
Step 1- Sabse pehle aap bluestacks ko download kare.
Step 2- Isse apne PC mein daalein.
Step 3- Ab apne PC ke file manager mein jaa kar woh folder kholein jisme aapke android support ke software hain.
Step 4- Ab aap whatsapp ko apne PC mein daalein. Phir bluestacks software kholein. Isme se whatsapp ko chunein, agree karke continue karen.
Step 5- Ab aapko apne country aur mobile number dalne hain. Mobile number wahi daalein jo aap istemaal karte hain. Aap jis country ke ho wo select kare. Aapko jis mobile no. se pc me whatsapp chalana hai. woh enter kare. Ab OK par click kare. Ok par click kar ke thoda wait kare. thodi der bad aapke no. par ek msg aayega usme 6 no. ke code honge aapko wo code dal kar verify karne hai. Code saalne ke baad apna number bhar lein aur continue par click karen. Ab aap aasani se computer me whatsapp use kar sakte ho.