Virus Kaise Nikale – Computer PC Laptop Pen Drive – Hindi Me


CMD ka prayog karen

Pen drive se virus hatane ke liye CMD ka istemaal karen. Command Prompt se virus nikalna evam apne files ko surakshit rakhna sabse shreshtha tarika hain evam 95% sambhaavnayen hoti hain ki isse virus nikal jaate hain. Iskeliye aap Start mein jaakar Run mein jaayen tatha cmd likhein. Apne pen drive ki directory mein jaayein. Type karen –h-r-s/s/d/e:*.* aur Enter button dabayen. Jab aapko aapki files mil jaayen to unhe kisi aur surakshit folder mein copy kar lein.

WINRAR ka prayog karen pehle jaise files paane ke liye

 Agar CMD ke istemaal ke bavjood virus reh jaaye to WinRar ka upyog karen pehle jaise files paane ke liye. WINRAR application kholein. Pen drive tak pahunche. Files copy karke paste karen jahaa aap chahte ho. Pen drive ko format karen. (Virus Kaise Nikale).

ANTIVIRUS ka prayog karen

Avast ek behtarin antivirus hain virus ko nikalne ke liye. Agar baar baar aapke pen drive mein virus aa raha ho to iss antivirus ko install karke Boot Time Scan kare jisse ki koi bhi kharaabi door ho jaayegi.

Software ka prayog karen

Iss samasya ko suljhane ke liye internet par kaafi software milenge. Inme se ek hain USB fix. USB fix download kar install karen. Agar pehle se koi program band kar dein taki nuksaan na ho. Pen drive ko connect karen tatha clean par click karen. Iske baad apne computer ko re start karna na bhoolein. (Virus Kaise Nikale).

BAT file banayen

Batch file programming (.BAT) ke istemaal se aap virus se chhutkara praapt kar sakte hain. Iske liye aapko keval Windows machine evam notepad ki aavashyakta hain. Apne computer mein notepad kholein. Usme apne pe3n drive ka naam likhen. Iss file ko save karte samay text documents se badal kar removeshortcutvirus.bat type karke desktop par save karen. Notepad ko band kar desktop par jaayen tatha BAT file par double click karen. Kuch seconds mein pen drive se sabhi virus hat jaayenge. (Virus Kaise Nikale).

Pen drive virus removal antivirus ka prayog karen

USB Virus Scan ek vishesh anti virus hain pen drive ke liye. Isse aapke compute ko bhi poori suraksha milti hain. Pen drive ko nuksaan pahunchaye bina yeh pen drive mein virus dhoondh kar usse nikaal sakta hain.(Virus Kaise Nikale).

Registry files ko tod kar virus hatana

Yeh sabse aasan tarikon mein se hain kyunki isme aapko kuch download nahin karna padta hain. Task bar par right click kar task manager ko kholein. Processes tab mein wscript.ece khojein, uss par click karen tatha End Processes par click karen.RUN mein regedit type karen. Isse Registry Editor khulegaa. Ab ismein odwcamszas dhoondh kar right click karen aur mita dein. (Virus Kaise Nikale).

Apne pen drive ko format karen

Aapke paas Quick Format ka vikalp rehta hain pen drive se virus hatane ke liye. Isko karne se pehle yeh sunishchit karen ki aapki saari zaroori data surakshit hain. My Computer mein Pen drive par click karen. Quick Format ko chunein. Isse aapke pen drive se virus hat jaayenge. (Virus Kaise Nikale).

Virus se bachne ke liye savdhaniiyan

Apne pen drive ko virus se bachane ke liye kuch savdhaniiyan barte. Pen drive ko apne aap ya automatically na chalne dein. Virus ke liye scan karne ke baad hi pen drive ka istemaal karen. Aam jagahon par pen drive ka istemaal na karen. Nuksaandayak websites ka istemaal na karen. Anti virus ko aadhunik rakhen.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »