Google Drive Kya Hai – Use Kaise Kare – Drive Google Ke Fayde
Hello friends, aaj hum janenge google drive kya hai use kaise kare drive google ke fayde ke bare mai. Google drive google ki free service hai. Jiske use se hum is drive ke ander apna khud ka storage bana sakte hai. Jaisa ki apne computer mai c,d,e,f etc dive hote hai waise hi google drive hota hai. Hum apne photos, videos, songs ya kisi bhi prakar ke files ko google drive me store karne deta hai. Agar ek bar kisi bhi files ko ham google drive me store karte hai to us file ko ham duniya ke kisi bhi kone me dek sakte hai aur nikal sakte hai. Google Drive Kya Hai – Drive Google Ke Fayde. Janenge Google Drive Use Kaise Kare.
Google drive use kaise kare
Google drive ka use karne ke liye sabse phele apko ek google ya gmail account ki jarurat hai. Agar apka google account nahi hai to google account create kar le. Agar apka google account created hai to app google drive ka use kar sakte ho. Uske liye apko website ya smartphones me google drive app par ja sakte hai.
Agar aap apne laptop ya computer me google drive chalana chahte hai to uska sofware download aur install karna hoga. Google drive computer me ane ke bad aur setup hone ke bad computer me ek folder ban jata hai. Aur agar is folder me koi file dalte hai to wo google drive (agar internet connect hai tab) me chala jata hai aur yadi google drive ka upyog karke online koi file banate hai to wo apne aap us folder me ajata hai. Yadi apne mobile(android) me chalana chahte hai to usme google drive ka app pahle se diya hota hai. Bas apko apna gmail (google) id aur password put karna hai. (Google Drive Kya Hai – Drive Google Ke Fayde. Google Drive Use Kaise Kare).
Aap jis file ko google drive mai save karna chah rahe hai. To file ko file manager me select kijiye. Agar koi image ya video hai to gallery me jakar select kar sakte hai. Aur share with ke option par click karke usme se google drive ka option select karna hai. Isse file google drive cloud storage me upload hone lagegi.
Google drive se hum apna koi file bina download kiye dusre google drive user friend ko bhi share kar sakte hai. Iske liye us user ki google email id add people wale option me jodni hoti hai. Kisi bhi file ko share karne ke liye usme righ-click kare fir google drive ka option ayega usme jake share kare. Google drive me kuch google apps bhi hota hai jaise google docs, google sheets, google slides ye sabhi ms office ke jaise hi hota hai. Ise open karne ke liye google drive me new likha hoga waha click kare. (Google Drive Kya Hai – Drive Google Ke Fayde. Google Drive Use Kaise Kare).
Google drive par apna personal data lose hone ke koi chance nahi hai. Kyuki google drive ke bahut servers hai. Agar kisi ek server mai problem ho to dusra server kaam karta hai. Isiliye google drive apne users ke data ko secure karne ke liye ek se jyada servers ka use karta hai. Aap jo file google drive mai upload kar rahe ho wo eksaath kitne servers par upload ho rahi hai ye bata nahi sakte.
Aap file ko store karne ke sath sath, google ki khud ki apps use karke bhi files bana sakte hai.
- Google docs: ye text, letters, formatting ke liye use kar sakte hai. (same as microsoft word).
- Google sheets: ye data ya information, graphs, charts, reports banane ke liye use hoti hai. (same as ms excel).
- Google slides: ye slideshows banane ke liye use hota hai (same as ms powerpoint).
- Forms: isse hume form banane mai help hoti hai. Jisse ki logo ke sawaal jawaab ya koi bhi information dalwa sakte hai.
Drive google ke fayde
- Google drive me app 15gb (gigabytes ) tak ka free storage hota hai jo bahut hai. App chahe to isse upgrade bhi kar sakte hai.
- Google drive me ms office(microsoft office) ke sare service hote hai.
- Online hi kam kiya ja sakta hai.
- Files ko ek jagah se dusri jagah bhejne ke liye pendrive ki jarurat nahi hai.
- Google drive se hum apna koi file bina download kiye dusre google drive user friend ko bhi share kar sakte hai.
- Google drive par apna personal data lose hone ke koi chance nahi hai.
- Google drive me google photos bhi hota hai. Jisme hum koi bhi photo click kar automatic usse google photos me upload karwa sakte hai.
- Google drive me hum whatsapp ka backup bhi le sakte hai. Jisse whatsapp user ka data automatically upload ho jata hai. Aur whatsapp par delete hone ka koi dar nahi rehta hai.
Google drive computer mai download aur install kaise kare
- Sabse pahle aapko google.com par jana hoga.
- Ab left side me get drive for pclikha hoga usme click kare.
- Fir naya page ayega waha par download drivepar click kare fir mac and pc select kare. Accept and install
- Download hone ke bad ise openkarke install
- Uske baad google drive start menuya desktop me aagaya hoga waha jake use open
- Open hone ke bad apna gmail (google)id aur password dale aur sign in Ab next karte jaye aur fir done kar de. Google drive computer me setup hai.