Apne chehre ka khayal Rakhe
Roj do bar( subah aur Shyam) chehra dhona zaroori hai. Agar aapko fullae (pimple) hote hai to aap chehra dhone ke liye acchhewale face wash use kar sakte hain.
- Chehra dhone ke baad use pochne ke liye fresh kapde ka istemal kare.
- Oil free Sunscreen lotion ka istemal kare, jisase aapki twacha suraj ki kirno se jalegi nahi.
- Sabhya logon ki tarah rahe. pimple ko kharashe ya fode nahin. Nahito bad me jyadatar ye pimple aapke chehre pe dag ban jata hai.
- Vitamins zaroor le jisase aapke chehre ka rang eksa rakhne mein aur aapke bal aur nakhun badhne mein madat hogi.
Balon ko saf rakhe
Aapke balon ko kitne din mein dhona chahiye iska pata lagaye. Kyonki kisiko roj bal dhone padte hai to kisi kisi ko then din mein dhoye to chalta hai.
- Aapke liye konsa shampoo aur conditionar thik hai iska pata lagaye. Aur fir wahi sahampoo aur condionar hamesha use Karen.
- Aapke balon ke anusar(Curly or straight) aur chehre ke anusar balon ki dhab(style) choose kare. Isliye aap apne hair stylist ki salah le sakte hain.
Danton ko sanf rakhe
Roj kamse kam do bar dat sanf kare. Mouth wash use karen jisase muh ki badbu nahin ayegi aur dat safed rakhne mein madat hogi.
Sajalit Rahiye
Kam se kam 2 litre( 8 gilas) pani ek din mein pina chahiye. Aur Fruit aur vegitables bhi jyadatar jine pani hai aisi khani chahiye. Pani aapki twacha ko fresh rakhta hai aur ankho ko chamakdar rakhta hai. Aur vegitables aur fruit apki urja barkarar rakhte hai.
Atmavishwas barkarar rakiye
aapka atmavishwas aapki tarotajgi barkarar rakhta hai. Aur aapka chera khila hua rakhta hai. Natural rahen, Sadgi mein sundarta hain. Isliye halka makeup karen. Jaise face cream lagaye aur halka poweder lagaye aur ontho par Lip balm lagaye.
Balon aur nakhuno ko rangeen karen
Natural colour ke liye aur silky balon ke liye aap balon mein mehndi laga sakte hain. Ab to Color ki mehndiya bhi uplabdha hai. Nakhuno ko colour kare dark colour ki nailpolish se.
Shave or Wax karein
Unchahein balon ko nikalne ke liye shave karen. Wax karne se bal unke jado se nikalte hai. Isliye jyadya samay tak aapko un jagah par baal nahin atein.Skin ko clean aur smooth banana ke liye ye zaroori hai.
Eybrows karein, Achhe Kapde pehne
Eye brows ko accha shape de, isase aapki look behad achhi ho jati hai. Akhir aapki pehchan apke kapdo se hi hoti hai. Jitne mehange aur ache kapde aap pehnte ho utne ache aap dikhte ho aur agar sath me kuch dagine bhi ho jaise ki anguthi ya galeka har to aapke look mein char chand lag jatein hain.
Padhiye Kaise Bane Sundar, Handsome, Khubsurat,
Aapko ye article kaise laga niche comment kijiye.
Tags: Sundar Kaise Dikhe, Smart Kaise Dikhe, Handsome Kaise Dikhe, Beautiful Kaise Dikhe, Khubsurat Kaise Bane.